Kyon uski yaad ab itni chubhti nahi,
Shaayad uski kami ki aadat ho gayi hai,
Kyon ab uske khayaal dil ko tadpaate nahi,
Shaayad ab yeh tadpan aadat ban gayi hai,
Kyon fizaaon mein ab wo rangeeniyaan nahi hain,
Shaayad berang mausam ki aadat ho gayi hai,
Kyon aajkal raaton mein main tanhaa nahi mehsoos karta,
Shaayad tanhaaiyon ki aadat ho gayi hai,
Kyon waqt guzar jaata hai aur main kuchh samjh bhi nahi paata,
Shaayad waqt beetaane ki aadat ho gayi hai,
Kyon uska naam ab alag sa mehsoos nahi karaata,
Shaayad uske naam ki aadat ho gayi hai,
Kyon uski baatein ab yaad nahi rehti,
Shaayad kuchh yaad naa rehne ki aadat ho gayi hai,
Kyon uska chehra kahin kho sa gaya hai,
Shaayad meri aankhon ko andhero ki aadat si ho gayi hai,
Kyon saanson mein ab wo khalish nahi hai,
Shaayad saanson ke chalte rehne ki aadat ho gayi hai...
Kyon zindagi aisi jeene ki aadat ho gayi...
Aisa lagta hai maano aadaton ki hi ab aadat ho gayi hai....
--
Vikas
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "Lovers India" group.
To post to this group, send email to loversindia@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
loversindia+unsubscribe@googlegroups.com
http://groups.google.co.in/group/loversindia

No comments:
Post a Comment